maktab ki aashiqi bhi tariKH-e-zindagi thi

maktab ki aashiqi bhi tarikh-e-zindagi thi
fazil tha ghar se majnun laila padhi likhi thi

farhad jaan dega shirin tabah hogi
ye to khuda ke ghar se goya kahi badi thi

qudrat ke daere mein us waqt but bane the
jab neamat-e-takallum taqsim ho chuki thi

kabe mein hum ne ja ke kuchh aur haal dekha
jab but-kade mein pahunche surat hi dusri thi

matam mein mere 'muztar' wo kis ada se aaya
aankhon mein kuchh nami thi honton pe kuchh hansi thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close