mana ki musht-e-KHak se baDh kar nahin hun main

mana ki musht-e-khak se badh kar nahin hun main
lekin hawa ke rahm-o-karam par nahin hun main

insan hun dhadakte hue dil pe hath rakh
yun dub kar na dekh samundar nahin hun main

chehre pe mal raha hun siyahi nasib ki
aaina hath mein hai sikandar nahin hun main

wo lahar hun jo pyas bujhae zamin ki
chamke jo aasman pe wo patthar nahin hun main

'ghaalib' teri zamin mein likkhi to hai ghazal
tere qad-e-sukhan ke barabar nahin hun main

lafzon ne pi liya hai 'muzaffar' mera lahu
hangama-e-sada hun sukhan-war nahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close