manzur hai napna kamar ka paimana banaiye nazar ka tha sham se daghdagha sahar ka dhadka hi laga raha gajar ka sine mein se kuchh aai aawaz phuta koi aabla jigar ka aansu puchhenge kab tak ahbab tapka na rukega chashm-e-tar ka dil hi to hai kya ajab bahal jae kuchh zikr karo idhar-udhar ka kyun zulf daraaz kholte ho kya khauf tumhein nahin kamar ka kuchh be-adabi hui muqarrar sina bedha gaya ghar ka tanha nahin gosha-e-qafas bhi jhagda hai sath baal-o-par ka muhtaj-e-kafan nahin hai bulbul parda kafi hai baal-o-par ka rahte nahin ek dam kisi ja batlaen nishan-e-khak ghar ka kya kya hum ne na khak udai paya na ghubar tere dar ka ho aap ke kan tak rasai allah ye martaba ghar ka ai dil kunj-e-mazar dekha pahla ye maqam hai safar ka yaqut kahan mere dhun mein tukda hoga koi jigar ka rukhsat rukhsat jo kah rahe ho ai jaan-e-khayal hai kidhar ka jab tak hai kuchh hayat baqi rasta dekhenge nama-bar ka aankhon mein khayal aur hi hai jalwa kiya dekhiye qamar ka aaram kahan nasib hum ko khatka darpesh hai safar ka pahunche mere hath tak to fassad munh lal karunga neshtar ka daude lene qadam ajal ke dhoka hua yar ki khabar ka thahro lasha uthe to jaana jhagda hai aur do pahar ka kyun aae 'nasim' nind hum ko sar rakh ke zamin pe yar sarka