mar jaenge pindar ka sauda na karenge aisa na karenge kabhi aisa na karenge wo zakhm bhi pahunchaen karen chaaragari bhi ye bhul kabhi mere masiha na karenge phutegi sahar dida-e-giryan se hamare khun-rez tabassum ka ujala na karenge aaega zaban par na kabhi harf-e-shikayat hum zikr ghazal mein bhi tumhaara na karenge shabnam ki sifat shoala-mizajon ko nahin den ye us ki nazakat ko gawara na karenge jaenge sar-e-dar bhi ehram hi bandhe hum shewa-e-haq-goi ko ruswa na karenge hum zakhmon ki shiddat ko bayan kar ke bhi 'tarzi' qatil hi ka khud apne qad uncha na karenge