masjid ke zer-e-saya KHarabaat chahiye

masjid ke zer-e-saya kharabaat chahiye
bhaun pas aankh qibla-e-hajat chahiye
aashiq hue hain aap bhi ek aur shakhs par
aakhir sitam ki kuchh to mukafat chahiye
de dad ai falak dil-e-hasrat-parast ki
han kuchh na kuchh talafi-e-mafat chahiye
sikhe hain mah-rukhon ke liye hum musawwari
taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye
mai se gharaz nashat hai kis ru-siyah ko
ik-guna be-khudi mujhe din raat chahiye
nashw-o-numa hai asl se 'ghaalib' furu ko
khamoshi hi se nikle hai jo baat chahiye
hai rang-e-lala-o-gul-o-nasrin juda juda
har rang mein bahaar ka isbaat chahiye
sar pa-e-khum pe chahiye hangam-e-be-khudi
ru su-e-qibla waqt-e-munajat chahiye
yani ba-hasb-e-gardish-e-paimana-e-sifat
aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye
This is a great dad death shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close