mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla

mazhab-e-ishq ke irfan pe hairan nikla
qais jab dasht ko nikla to pareshan nikla

shiddat-e-shauq mein sarmast-o-shadan nikla
gham-rasida bhi agar tha to ghazal-khwan nikla

un se milne ki tamanna liye darta hi raha
dil ye kafir mera dar-parda musalman nikla

sham aai to lab-e-lalin ki shokhi le kar
mehr bikhraate hue lal-e-badakhshan nikla

jab ki parwaz-e-takhayyul ne bhi surat pali
kitna be-mani sa ab takht-e-sulaiman nikla

jaane kab chupke se aankhon ne dar-e-dil khola
aaya ek bar to phir ghar se na mehman nikla

khwab hi achchhe the tute to hua ye ifsha
jis ko gulzar samajhte the bayaban nikla

qaidi-e-husn ki sarkar mein peshi jo hui
ishq sarshaar tha didar ka unwan nikla

daere fikr ke mahdud hon mumkin hi nahin
kab 'asar' mo'tarif-e-tangi-e-daman nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close