mera junun hi asl mein sahra-parast tha warna bahaar ka bhi yahan bandobast tha aaya shuur-e-zist to ifsha hua ye raaz tere kalam-e-fan ki main pahli shikast tha auron ne kar liye the andheron se faisle ek main hi sare shahr mein suraj-ba-dast tha ek chikhte sukut ne chaunka diya mujhe main warna apne haal mein muddat se mast tha aaina jab dikhaya to ye raaz bhi khula jitna bhi jo buland tha utna hi past tha takhliq-e-kul ke lamha-e-awwal mein ai 'asar' main zindagi ki pahli humak pahli jast tha