mere andar jo ek faqiri hai

mere andar jo ek faqiri hai
ye hi sab se badi amiri hai

kuchh nahin hai magar sabhi kuchh hai
dekh kaisi jahan-giri hai

pankhudi ek gulab ke jaisi
mere sheron mein aisi meri hai

sher kahta hai bech deta hai
tujhmen kaisi ye la-zamiri hai

tujh se rishta kabhi nahin suljha
us ki fitrat hi kashmiri hai

ruh aur jism surkh hain khun se
phir bhi ye pairahan hariri hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close