mere kalam mein pechida istiara nahin ki harf-e-sidq chhupana mujhe gawara nahin mere liye yahi maujen hain daman-e-iliyas bhanwar mein hun mere donon taraf kinara nahin duaen mangta hun subh ke ujalon ki andheri wasl ki shab bhi mujhe gawara nahin tere mizaj ke resham mein kaise aag lagi meri ghazal ka khunuk lafz to sharara nahin dil-o-dimagh ko kya dega raushni wo 'hazin' nai hayat ka jo lafz goshwara nahin