mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai

mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai
teri zulf ki siyahi meri sham ban ke aai

hui kashif-e-haqiqat ye zamir-e-mai-kada ki
meri be-khudi jo durd-e-tah-e-jam ban ke aai

teri ek ada thi ye bhi gul-o-khar ko jagane
jo nasim-e-subh-gahi ka khiram ban ke aai

ye saba ki be-rukhi thi su-e-ashiyan jo guzri
na salam le ke aai na payam ban ke aai

mere gham-kade mein phuti jo shua dagh-e-dil se
wahi ek charagh-e-taq-e-sar-e-sham ban ke aai

sar-e-tur jis ki juya thi nigah-e-chashm-e-musa
wahi ek jhalak farogh-e-lab-e-baam ban ke aai

rukh-o-zulf ki tamanna mere dil ko muzhda-baada
meri subh ban ke aai meri sham ban ke aai

hai bahut muhaal is ka jo 'ghubar' ma-badal ho
meri tirgi-e-qismat meri sham ban ke aai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close