mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai

mere samne mere ghar ka pura naqsha bikhra hai
kash koi aisa hota jo dekhe kya kya bikhra hai

main ne chaha bite barson ko bhi mutthi mein bhar lun
is koshish mein mere aaj ka lamha lamha bikhra hai

pahle us ke sae ke rasiya log the ab ye kahte hain
ye bhi koi ped hai jis ka patta patta bikhra hai

shayad aise hi be-manzil rahna apni qismat hai
hum kis raste ko apnaen har ek rasta bikhra hai

is ki kya tabir karun main kuchh tu hi samjha 'manzur'
main ne khwab mein dekha sahra mein ek dariya bikhra hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close