meri zindagi ki kitab ka hai waraq waraq yun saja hua sar-e-ibtida sar-e-intiha tera nam dil pe likha hua ye chamak-damak to fareb hai mujhe dekh gahri nigah se hai libas mera saja hua mera dil magar hai bujha hua meri aankh teri talash mein yun bhatakti rahti hai raat-din jaise jangalon mein hiran koi ho shikariyon mein ghira hua teri duriyan teri qurbaten tera lams teri rifaqaten mujhe ab bhi wajh-e-sukun to hai tu hai dur mujh se to kya hua ye gile ki baat to hai magar mujhe us se koi gila nahin jo ujad gaya mera ghar to kya hai tumhaara ghar to bacha hawa tere aansuon se likha hua mere aansuon se mita hua main 'nasim' khat ko padhun bhi kya ki hisar-e-ab hi aab hai tere aansuon se likha hua mere aansuon se mita hua