mila hai jism ki us ka guman mila hai mujhe

mila hai jism ki us ka guman mila hai mujhe
wo hath aa ke bhi aksar kahan mila hai mujhe

main sirf dekh hi sakta hun chashm-e-sahil se
ki wo badan ajab aab-e-rawan mila hai mujhe

farokht kar ke khasare mein aa gaya bazar
to soch lo ki wo kitna garan mila hai mujhe

achanak aaj mera zakhm baat karne laga
bahut dinon mein koi ham-zaban mila hai mujhe

hamesha der se pahuncha main us ki mahfil mein
bajae aag hamesha dhuan mila hai mujhe

ajab kashakash-e-iman-o-kufr rahti hai
wo but hamesha ba-waqt-e-azan mila hai mujhe

ulat ke rakh diya 'ehsas' ne hisab-e-umr
wo roz kal se ziyaada jawan mila hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close