mila jo khar to dil mein bitha liya main ne har ek phul se daman bacha liya main ne nazar mein un ka sarapa basa liya main ne gham-e-firaq ko aasan bana liya main ne na puchh mujh se mere fart-e-shauq ka aalam har ek gham ko tera gham bana liya main ne bhadak ke bujh gaya jab us ka har ek diya charagh-e-dil ko shab-e-gham jala liya main ne ye kya khabar thi dahakte hue hain angare samajh ke phul jinhen sar chadha liya main ne fareb-kar rafiqon ki ab nahin hajat ki apne sine se gham ko laga liya main ne samajh liya jise auron ne 'ashk' na-mumkin usi ko apni tamanna bana liya main ne