mujh mein aa kar thahar gaya koi husn-e-dil mein utar gaya koi kaisi di ye mujhe kitab-e-ishq padhte padhte bikhar gaya koi aaj khushbu bhare gulabon se mere daman ko bhar gaya koi apna apna tha aaina sab ka jaane kis mein sanwar gaya koi haal-e-dil us ne aaj kya puchha jaise dariya thahar gaya koi le ke kandhon pe apne phirti hun mere andar hi mar gaya koi raushni bhik mein nahin milti apni jaan se guzar gaya koi ab na hansti hun aur na roti hun kaisa jadu sa kar gaya koi rakh kahti thi 'shama' ki ud kar hae waqt-e-sahar gaya koi