mujh ko bhi haq hai zindagani ka main bhi kirdar hun kahani ka jo mujhe aaj phir nazar aaya khwab hai meri naujawani ka hum ko darpesh hai zamane se masala bakht ki girani ka kyun nikalta nazar nahin aata kuchh natije bhi khush-gumani ka kal jo sailab aa gaya tu 'azim' hum ne jaana mizaj pani ka