muqable to ghalat-fahmiyan baDhate hain

muqable to ghalat-fahmiyan badhate hain
ye walwale to ghalat-fahmiyan badhate hain

qarib aao to shayad samajh mein aa jae
ki fasle to ghalat-fahmiyan badhate hain

hai mere sath mere dushmanon se rabt unhen
ye silsile to ghalat-fahmiyan badhate hain

agar hai koi shikayat to mil ke baat karo
murasile to ghalat-fahmiyan badhate hain

kisi ne qatl kiya aur saza kisi ko mili
ye faisle to ghalat-fahmiyan badhate hain

jo rahzanon ka taawun qubul karte hain
wo qafile to ghalat-fahmiyan badhate hain

tanazeat mein behtar hai sulh kar lena
nae gile to ghalat-fahmiyan badhate hain

ye laghzishon ka tasalsul ye mazarat paiham
ye marhale to ghalat-fahmiyan badhate hain

charagh-e-haq hain to khamosh kyun hain wo 'razmi'
bina jale to ghalat-fahmiyan badhate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close