murad-e-shikwa nahin lutf-e-guftugu ke siwa bacha hai pairahan jaan mein kya rafu ke siwa hawa chali thi har ek samt us ko pane ki na kuchh bhi hath laga gard-e-justuju ke siwa kisi ki yaad mujhe bar bar kyun aai us ek phul mein kya shai thi rang-o-bu ke siwa ubharta rahta hai is khak-e-dil pe naqsh koi ab is nawah mein kuchh bhi nahin numu ke siwa adhuri chhod ke taswir mar gaya wo 'zeb' koi bhi rang mayassar na tha lahu ke siwa