na darmiyan na kahin ibtida mein aaya hai badal ke bhes meri intiha mein aaya hai usi ke rup ka charcha hai ab fazaon mein hawa ke rukh ko palat kar hawa mein aaya hai kabhi jo tez hui lau to jagmaga uttha barahna tha jo kabhi ab qaba mein aaya hai mujhe hai phul ki patti sa ab bikhar jaana wo chhup-chhupa ke meri hi rida mein aaya hai asir-e-zulf ko shayad yahin rihai hai pukarta hun jise wo sada mein aaya hai nigal gai hai tasawwur ki aanch aanch ise koi wajud kisi saneha mein aaya hai main chhedta hun samundar ki dhun mein naghmon ko wahi jo rag dil-e-mutriba mein aaya hai usi ke sher sabhi aur usi ke afsane usi ki pyas ka baadal ghata mein aaya hai