na ho thikana koi jis ka tere ghar ke siwa wo uth ke jae kahan teri rahguzar ke siwa dil-e-hazin ki tamanna nigah ke matlub khuda rakhe wo sabhi kuchh hain chaaragar ke siwa raza-e-dost tab-o-tab sina-e-dushman dua ko aur bhi kuchh chahiye asar ke siwa wo soz-e-dil ki jise log jaan kahte hain nahin hai aur koi shai teri nazar ke siwa payam-e-khanda-e-gul aur nashat-e-subh-e-chaman saba ke pas hai sab kuchh teri khabar ke siwa hai jaan-e-bulbul-e-shaida to chaar tinkon mein qafas mein kuchh bhi nahin ek musht-e-par ke siwa mila hai azmat-e-adam ke nam se jo mujhe wo qarz kis se ada hoga mere sar ke siwa unhi ko nala-e-bulbul kahen ki khanda-e-gul chaman mein kuchh bhi nahin shoala-e-sharar ke siwa sukun-e-dil ke liye hum kahan kahan na gae 'sarosh' kuchh na mila zahmat-e-safar ke siwa