na ho tu jis mein wo dil bhi hai kya dil nikamma dil bura dil bad-numa dil buton ko de diya nam-e-khuda dil 'sakha' meri bhi kya himmat hai kya dil uthe aaghosh se jab dard uttha hile pahlu se jab wo hil gaya dil abhi kamsin hain ruswai ka dar hai nahin lete kisi badnam ka dil sungha kar nikhat-e-zulf-e-muambar uda kar le gai baad-e-saba dil phire mujh se to goya phir gaya bakht badhe meri taraf to badh gaya dil wahi kawish wahi sozish wahi dard tera paikan hai goya mera dil hamein bhi ranj-o-rahat ki khabar thi hamare pas bhi tifli se tha dil mere mahbub ke mahbub ho tum fida hun dil pe main tum par fida dil sambhal hi jaega insan hai yarab pighal hi jaega patthar hai ya dil 'sakha' jo mujh pe guzregi sahunga mere sine mein hai itna bada dil