na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale

na sar-nigun na ba-zahir udas udas chale
ajib shan se marne wafa-shanas chale

bana ke khugr-e-ehsas-e-dard-o-gham-e-dil ko
hamare pas se sare hujum-e-yas chale

suna ke ahl-e-junun ko bahaar ka muzhda
hawas wale bhi ek samt bad-hawas chale

hayat nam hai aise safar ka ai hamdam
qadam qadam pe jahan fikr-e-as-o-yas chale

zaban pe aae to dar hai bane na afsana
wo baat jis pe bahut har taraf qayas chale

hamari dalq-nawazi pe rashk karne ko
suna hai dair-o-haram se nazar-shanas chale

maza to jab hai bahaaron ki faiz-o-bakhshish ka
ki 'asr' jam bhi be-arz-o-iltimas chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close