nae zamane mein ab ye kamal hone laga ki qatl kar ke bhi qatil nihaal hone laga meri tabahi ka bais jo hai zamane se usi ko ab mera kahe khayal hone laga hawa-e-ishq ne bhi gul khilae hain kya kya jo mera haal tha wo tera haal hone laga shab-e-firaq wo kaisa tha jashn yaadon ka ki jis ka zikr bhi baad-e-visal hone laga jo ranj-o-gham mein mere sath sath tha ab tak use bhi meri khushi se malal hone laga jahan pe manzar-e-jalwa tha sirf wahm o guman wahin pe jalsa-e-zohra-jamal hone laga tumhaare qadr se agar badh rahi ho parchhain samajh lo dhup ka waqt-e-zawal hone laga na khud ko becha na koi khushamaden ki hain to kaise tum pe ye 'bekal' sawal hone laga