nahin is dasht mein koi khizar hai ki bas main hun meri gard-e-safar hai haqiqat aakhiri ye mukhtasar hai kahin sunsan sa tarik ghar hai na sang-e-rah hai na rahbar hai bhatakta dil hai aur dhundli nazar hai jo manzil hi se ho ghafil musafir bhala kya lutf jo raushan nazar hai na aalam hum se khush na khud se hum khush ye bina aankh bhi kya dard-e-sar hai ye zine jaldi jaldi chadhne wale pas-e-az-baam kya hai kuchh khabar hai