naz bhala kis baat ka tujh ko pas-e-hunar jab kuchh bhi nahin manzil par pahunchega kaise rakht-e-safar jab kuchh bhi nahin dekh bhatak jae na musafir aankh ki bhul-bhulaiyya mein kis ko dhunde shokh-nazar ta-hadd-e-nazar jab kuchh bhi nahin meri nigahon mein duniya ki har shai se nayab hai tu aur kisi ko kyun chahun tujh se behtar jab kuchh bhi nahin main bhi fani tu bhi fani sara aalam fani hai kya khad-o-khal pe naz karen duniya mein amar jab kuchh nahin jugnu aur sitare mil kar tujh ko kya lalkarenge tere aage nur ke paikar shams-o-qamar jab kuchh bhi nahin baatil ko ab kaun duhai qanun aur insaf ki de bandon ka kya khauf use allah ka dar jab kuchh bhi nahin taj-mahal phika lagta hai us ke rup ke aage 'shad' teri kya auqat bhala sang-e-marmar jab kuchh bhi nahin