nazar uthaen to kya kya fasana banta hai sau pesh-e-yar nigahen jhukana banta hai wo lakh be-khabar-o-be-wafa sahi lekin talab kiya hai gar us ne to jaana banta hai ragon talak utar aai hai zulmat-e-shab-e-gham so ab charagh nahin dil jalana banta hai parai aag mera ghar jala rahi hai so ab khamosh rahna nahin ghul machana banta hai qadam qadam pe tawazun ki baat mat kije ye mai-kada hai yahan ladkhadana banta hai bichhadne wale tujhe kis tarah bataun main ki yaad aana nahin tera aana banta hai ye dekh kar ki tere aashiqon mein main bhi hun jamal-e-yar tera muskurana banta hai junun bhi sirf dikhawa hai wahshaten bhi ghalat diwana hai nahin 'faris' diwana banta hai