pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake

pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake
wo ham-safar the jo kuchh dur sath aa na sake

tamam umr pashemaniyon mein bit gai
ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naz utha na sake

mujhe khayal hai un dil-girafta kaliyon ka
jinhen nasim-e-sahar chhed de khila na sake

kuchh aise dard bhi hain zindagi ki rahon mein
jahan hijab-e-tabassum bhi kaam aa na sake

karam ki aas ke sayon mein bujh gaya wo charagh
hawa-e-yas ke jhonke jise bujha na sake

andheri shab thi sitaron se kya sukun milta
sitare bhi to bahut der jagmaga na sake

ghazal ke husn ka ehsas us ko kya 'jawed'
khulus-e-narmi-e-guftar ko jo pa na sake


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close