paimane mein wo zahr nahin ghol rahe the

paimane mein wo zahr nahin ghol rahe the
mere liye maikhane ka dar khol rahe the

main dair mein chup dur se munh dekh raha tha
kis tarah bure bol ye but bol rahe the

karte the wo baithe hue nakhun se juda gosht
kahne ko mere dil ki girah khol rahe the

sayyaad ne kab nawak-e-bedad lagaya
hum udne ko jab shakh se par tol rahe the

ai aankh dur-e-ashk wahi naza mein kaam aae
ban kar tere daman mein jo anmol rahe the

hum baithe the kis tarah tah-e-shakh fasurda
gul hanste the murghan-e-chaman bol rahe the

shokhi se qayamat ko wo pasang bana kar
hum kitne hain baaton mein hamein tol rahe the

the subh ko wo saghar-e-jam dast-e-gada mein
aaluda mai-e-shab ko jo kashkol rahe the

kuchh chup se hain ab hashr mein aane se kisi ke
badh badh ke 'riyaz' aaj bahut bol rahe the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close