parde meri nigah ke bhi darmiyan na the

parde meri nigah ke bhi darmiyan na the
kya kahiye un ke jalwe kahan the kahan na the

jis raste se le gai thi mujh ko be-khudi
us rah mein kisi ke qadam ke nishan na the

raaz-ashna hai meri nazar ya phir aaina
warna wo apne husn ke khud raaz-dan na the

kuchh be-sada se lafz nazar kah gai zarur
mana lab-e-khamosh rahin-e-bayan na the

aae to yun ki jaise hamesha the mehrban
bhule to yun ki jaise kabhi mehrban na the

'ashraf' fareb-e-zist hai kab imtihan se kam
is ke siwa to aur yahan imtihan na the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close