parinde lauT ke jab ghar ko jaane lagte hain

parinde laut ke jab ghar ko jaane lagte hain
hamein bhi yaad dar-o-baam aane lagte hain

fasil-e-sarhad-e-mazi dhadakne lagti hai
jo khwab nind ka dar khatkhatane lagte hain

hubab dhup ki barish mein phutte bante
sabaat-e-zat ka matlab batane lagte hain

sar-e-mahaz tere aate hi harif mere
ye mere hath mujhe aazmane lagte hain

tere khayal ki mahfil jo sajne lagti hai
qarib-e-haal guzishta zamane lagte hain

jo aasman ko zid hai to kam nahin hum bhi
ki baad-e-barq nae ghar banane lagte hain

jo sunte hain ki tere shahr mein dashra hai
hum apne ghar mein diwali sajaane lagte hain

suni-sunai si har ek kahani lagti hai
nae hain lafz maani purane lagte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close