phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas

phir aas-pas se dil ho chala hai mera udas
phir ek jam ki barja hon jis se hosh hawas

hazar rang sahi par nahin zara bu-bas
hawa-e-sahn-e-chaman hum ko aae kaise ras

sitare ab bhi chamakte hain aasman pe magar
nahin hain shomi-e-qismat se hum sitara-shanas

khile hain phul hazaron chaman ke daman par
nawa-garan-e-chaman ko magar nahin ehsas

dil-o-jigar mein murawwat se pad gae nasur
hamein nahin hai magar us ke phal se phir bhi yas

ghire hue hain agar barq-o-baad-o-baran mein
to kya hua ki kinare ki hai abhi tak aas

junun ko apne chhupaen to kis tarah yaro
ki tar tar hai is shaghl-e-pak ka akkas

jo bewafai-e-gul se shikasta-khatir ho
use batao ki hai ba-wafa-tar us se ghas

main is sharab-e-mohabbat se tang hun 'arshi'
ki jitna pijie badhti hai aur utni pyas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close