phulon ko sharmsar kiya hai kabhi kabhi kanton se hum ne pyar kiya hai kabhi kabhi mauquf chaak-e-jeb-e-gareban hi par nahin daman bhi tar-tar kiya hai kabhi kabhi main muztarib raha hun ye sach hai firaq mein un ko bhi be-qarar kiya hai kabhi kabhi dil ka diya jala ke khud apne hi khun se shab shab-bhar intizar kiya hai kabhi kabhi tanha shab-e-firaq mein tar-e-nafas ke sath taron ka bhi shumar kiya hai kabhi kabhi aisa bhi waqt aaya hai aksar hayat mein sar apna su-e-dar kiya hai kabhi kabhi sayyaad mere tair-e-dil ne qafas ko bhi nalon se pur-bahaar kiya hai kabhi kabhi