pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji

pyase honton se jab koi jhil na boli babu-ji
hum ne apne hi aansu se aankh bhigo li babu-ji

phir koi kala sapna tha palkon ke darwazon par
hum ne yun hi dar ke mare aankh na kholi babu-ji

bhule se jaane-anjaane war na karna tum un par
jin jin ke kandhon par hai ye prit ki doli babu-ji

ye mat puchho is duniya ne kaun se ab tyauhaar diye
di hum ko andhi diwali khun ki holi babu-ji

dil nikle hi mehnat ke ghar hath jo hum ne bheje the
wo hi khali le kar laute sham ko jholi babu-ji

hum par kitne zulm hue hain kaun batae duniya ko
banduqon mein baqi hai kya ek bhi goli babu-ji

wo bhi apni aankhon mein nakhun hi le kar baithe the
dikhne mein jin ki surat thi bahut hi bholi babu-ji

ye kah kah kar kal hum ko sari khushiyan mil jaengi
karte rahte ho kyun hum se roz thitholi babu-ji

us mein kuchh tute sapne the kuchh aahen kuchh aansu the
jab jab bhi hum ne ye apni jeb tatoli babu-ji

ab ki bar to rakhi par bhi bhi de na saki kuchh bhayya ko
ab us ke sune mathe par sirf hai roli babu-ji


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close