qurb-e-manzil TuT jae hausla achchha nahin

qurb-e-manzil tut jae hausla achchha nahin
fasl ko pakne se pahle katna achchha nahin

dubne wale bhi us kashti ke kam shatir na the
aadatan kahte rahe the na-khuda achchha nahin

ghair ko pahle parakhte mujh se phir munh modte
jald-bazi mein tumhaara faisla achchha nahin

main to bazi haar kar be-fikr ho kar chal diya
jitne walon ko chaska lag gaya achchha nahin

khizr ki miras ka wo aaj dawedar hai
be-chale kahta hai jo ki rasta achchha nahin

rasta chalte raho warna 'wafa' kho jaoge
achchhe-khase silsile ko todna achchha nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close