raat hai shahr-e-butan hai aur hum

raat hai shahr-e-butan hai aur hum
aarzu-e-be-karan hai aur hum

kaun guzra hai sar-e-rah-e-khayal
dur tak ek kahkashan hai aur hum

raat ki dhalti jawani ke rafiq
sirf ek pir-e-mughan hai aur hum

bujh chale hain sare yaron ke charagh
ab charaghon ka dhuan hai aur hum

har zamane mein mili haq ko salib
ye qamis-e-khun-chakan hai aur hum

be-sutun taqdir-e-har-farhad hai
ek mazaq-e-khusrawan hai aur hum

jis mein jurat ho wo mud kar dekh le
ek umr-e-raegan hai aur hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close