raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokar na tha gird us kuche ke kis din ye gunahgar na tha wae hasrat ki koi rakhna ba-diwar na tha kal to bimar ko tha tere na bistar pe qarar aaj bistar tha faqat aur wo bimar na tha shukr ai baad-e-fana jun shajar-e-sokhta main tha to gulshan mein wale qabil-e-gulzar na tha nahin til dharne ki jagah jo ba-afzuni-e-husn dekha shab us ko to ek khal ba-rukhsar na tha raat kya baat thi batla tere sadqe jaun aahen bharna wo tera khali-az-asrar na tha dil ko dhar nok-e-sinan par wo ye bola hans ke hum ne mansur ko dekha ba-sar-e-dar na tha bahs mein chashm-e-tar-o-abr ki kal tha jo saman kabhi is shakl se rone ka bandha tar na tha zabh hum samne hote hi hue qatil ke bawajude-ki koi hath mein hathiyar na tha baad murdan mere tabut pe sab rote the chashm-e-pur-ab magar ek wo sitamgar na tha lek kya munh ko chhupata tha jo kahte the ye log us ko zahir mein to marne ka kuchh aazar na tha taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab rekhta ye jo padha qabil-e-izhaar na tha