raat ko pahlu mein ek taswir raushan ho gai

raat ko pahlu mein ek taswir raushan ho gai
khwab to dekha nahin tabir raushan ho gai

us but-e-kafir ko jo dekha bahut nazdik se
naqsh-gar ki shokhi-e-tahrir raushan ho gai

dasht-e-wahshat mein ghubar-e-naqa-e-laila to hai
hasrat ai pa-e-junun zanjir raushan ho gai

zakhm-e-naumidi charaghan kar rahe hain zist mein
dagh kya raushan hue taqdir raushan ho gai

us ki aankhon mein umad aaya sitaron ka hujum
gul-kade mein shauq ki tanwir raushan ho gai

aarzuen sab shikasta khwab sare munhadim
mere ghar mein raunaq-e-tamir raushan ho gai

saz-e-dil-dari pe naghma-zan hui sham-e-visal
mauj-e-gul ki khubi-e-taqrir raushan ho gai

raqs farmane lage sab ranj-o-gham soz-o-alam
sham-e-mina jal uthi tasir raushan ho gai

umr-e-zindan mein guzari par 'nadim' itna to hai
mashal-e-khurshid se zanjir raushan ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close