raaz jo sina-e-fitrat mein nihan hota hai

raaz jo sina-e-fitrat mein nihan hota hai
sab se pahle dil-e-shair pe ayan hota hai

sakht khun-rez jab aashob-e-jahan hota hai
nahin malum ye insan kahan hota hai

jab koi hadsa-e-kaun-o-makan hota hai
zarra zarra meri jaanib nigaran hota hai

jo nazar-karda-e-sahab-nazran hota hai
usi diwane ke qadmon pe jahan hota hai

jab koi ishq mein barbaad-e-jahan hota hai
mujh ko mahsus khud apna hi ziyan hota hai

mutazalzal hai adab-gah-e-mohabbat ki zamin
koi dekhe to ye hangama kahan hota hai

kahin aisa to nahin wo bhi ho koi aazar
tujh ko jis chiz pe rahat ka guman hota hai

dil ghani ho to har ek ranj bhi dil ki rahat
zehn muflis ho to har sud ziyan hota hai

imtihan-gah-e-mohabbat mein na rakkhe wo qadam
maut ke nam se jis ko khafaqan hota hai

yahi wo manzil-e-dushwar hai jis manzil mein
khatm har marhala-e-sud-o-ziyan hota hai

har qadam marka-e-karb-o-bala hai darpesh
har nafas saneha-e-marg-e-jawan hota hai

naz jis khak-e-watan par tha mujhe aah 'jigar'
usi jannat pe jahannam ka guman hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close