rah-e-ulfat mein yun to kaba-o-but-KHana aata hai

rah-e-ulfat mein yun to kaba-o-but-khana aata hai
jabin jhukti hai lekin jab dar-e-jaanana aata hai

safar tai ho chuka shayad dar-e-jaanana aata hai
ki dil su-e-jabin sajde ko be-tabana aata hai

teri ummid-e-wasl-e-hur hai ek zohd par mabni
magar waiz mujhe har shewa-e-rindana aata hai

hansi aae tujhe ya nind lekin aah mujh ko to
bas ai be-gana-e-dard ek hi afsana aata hai

dil ujda jab to phir baqi kahan duniya mein aabaadi
nigahen jis taraf utthin nazar virana aata hai

hamesha hasb-e-istedad hai faizan-e-qudrat bhi
bahaar aai chaman mein dasht mein diwana aata hai

thikana phir gham-e-duniya ne paya baad muddat ke
ki apne hosh mein phir 'mani'-e-diwana aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close