rah mein ghar ke ishaare bhi nahin niklenge

rah mein ghar ke ishaare bhi nahin niklenge
chand duba to sitare bhi nahin niklenge

dubne ke liye sahil pe khada hun main bhi
bandishen tod ke dhaare bhi nahin niklenge

thahar ai sail-e-rawan warna ye basti hi nahin
tere gharqab kinare bhi nahin niklenge

meri basti badi muflis hai magar ai hatim
log yun hath pasare bhi nahin niklenge

tum ajab log ho aangan ke liye rote ho
ab makanon mein usare bhi nahin niklenge

raat bhar jag ke hum ne jo kamai ki hai
us se to din ke khasare bhi nahin niklenge

tum bhi 'ghaalib' ki tarah lakh jatan kar lo 'shakil'
sare arman tumhaare bhi nahin niklenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close