rahnumaon ki baat karte ho parsaon ki baat karte ho jo uda len saron se aanchal bhi un hawaon ki baat karte ho jal rahi hai zamin ki kokh magar tum khalaon ki baat karte ho mujh ko mehnat ka bhi sila na mila tum duaon ki baat karte ho pahle insan ko zahr dete ho phir dawaon ki baat karte ho meri basti mein bhuk palti hai tum balaon ki baat karte ho mar dala wafa-shiaron ne be-wafaon ki baat karte ho kitne firaun mit gae aa kar kin khudaon ki baat karte ho