rasm aison se baDhana hi na tha

rasm aison se badhana hi na tha
khidmat-e-naseh mein jaana hi na tha

badh gae kuchh aur un ke hausle
rone walon ko hansana hi na tha

dil ka bhi rakhna tha hum ko kuchh khayal
is tarah aansu bahana hi na tha

kal zamana khud mita deta jinhen
aise naqshon ko mitana hi na tha

be-piye waiz ko meri rae mein
masjid-e-jama mein jaana hi na tha

rah gaya aankhon mein naqsha aap ka
naza mein surat dikhana hi na tha

khud wo de dete to achchha tha 'aziz'
kya kahen yun zahr khana hi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close