rawan rahta hai kis ki mauj mein din raat tu pani tujhe kis gauhar-e-nayab ki hai justuju pani wahi mere liye saqi mai-e-gulfam ban jae jo apne dast-e-nazuk se pila de mujh ko tu pani agar dariya mein tum dast-e-hinai apne dho lete to ab tak ho gaya hota kabhi ka surakh-ru pani kiya karte the badh badh kar bahut baaten safai ki mere ashkon ne kar di motiyon ki aabru pani bahut aasan hai muztar zalil-o-khwar ho jaana jo mushkil hai to chashm-e-khalq mein kuchh aabru pani