rifat kabhi kisi ki gawara yahan nahin jis sar-zamin ke hum hain wahan aasman nahin do roz ek waza pe rang-e-jahan nahin wo kaun sa chaman hai ki jis ko khizan nahin ibrat ki ja hai lakhon hi tifl o jawan nahin piri mein bhi khayal ajal ka yahan nahin dushman agar wo dost hua hai to kya ajab yan e'timad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin raftar naz mein ye lachak jati hai ki bas goya teri kamar mein sanam ustukhan nahin munim ke shukr mein bhi hilaen kabhi kabhi tanha barae-lazzat-e-duniya zaban nahin pazhmurda ek hai to shagufta hai dusra bagh-e-jahan mein fasl-e-bahaar-o-khizan nahin jin ke suron par aap magas-raan rahe huma un ka lahad mein aaj koi ustukhan nahin dhoka na kha zuruf-e-wazu ko tu dekh kar masjid hai mai-farosh ki 'nasikh' dukan nahin