riwayaton ko kabhi tum asas mat karna

riwayaton ko kabhi tum asas mat karna
main laut aaunga hargiz ye aas mat karna

giraft-e-khwab se jis ne rihai di tum ko
wo khud bhi jagta hoga qayas mat karna

bikhar rahe ho to phir tutta bhi andar se
shikastagi ko tum apna libas mat karna

kiya ho jaan se guzarne ka faisla jis mein
us ek lamhe ko sarf-e-hiras mat karna

agarche hath mein ho kasa-e-gadai bhi
khuda ke baad kisi ki sipas mat karna

khizan ke war se ghabra ke ai 'jamil' kabhi
shaguft-e-gul ke liye iltimas mat karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close