rok rakkha tha jo in aankhon mein khaara pani

rok rakkha tha jo in aankhon mein khaara pani
meri diwaron mein dar aaya wo sara pani

ek dariya ko dikhai thi kabhi pyas apni
phir nahin manga kabhi main ne dobara pani

apni aankhon se nichodunga kisi roz use
karta rahta hai bahut mujh se kinara pani

ab ke barish pe koi haq nahin insanon ka
ab ke chidiyon ke liye rab ne utara pani

main samundar se lagi shor-zamin jaisa hun
marta rahta hai mujh ko mera khaara pani

main ne in aankhon se kuchh moti chune the 'athar'
mere honton mein abhi jazb hai khaara pani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close