roz falak se nam barsenge pyar ke baadal kam barsenge maut ne aanchal jab lahraya aangan mein matam barsenge qatra qatra khun ka ban kar is dharti par hum barsenge zulf khulegi purwai ki gulshan par mausam barsenge ab ke baras barsat mein bhai dukh barsenge gham barsenge ban kar ruswai ke aansu teri aankh se hum barsenge hum wo diwane hain jin par patthar ab paiham barsenge