sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi nazar mein pyar liye darmiyan kahan hai koi ek apna sar hi nahin dil bhi main jhuka dunga magar batao zara aastan kahan hai koi sitamgari ki haden us ne tod dali hain hamari tarah magar be-zaban kahan hai koi kabhi to pure shajar par tha apna kashana hamare nam ka ab aashiyan kahan hai koi tumhaari apni hi kashti dubo na de tum ko hawa hai tez magar baadban kahan hai koi hamare panw tale ki zamin khinchte ho hamare baad tumhaara jahan kahan hai koi karoge ghaur to 'anjum' samajh mein aaega zamin hai chaaron taraf aasman kahan hai koi