sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak

sahne ko to sah jaen gham-e-kaun-o-makan tak
ai khaliq-e-har-dard magar phir bhi kahan tak

pahunche na kahin dida-e-khun-naba-fashan tak
wo harf-e-shikayat nahin aaya jo zaban tak

ye meri nigahon ke banae hue manzar
kambakht wahin tak hain nazar jae jahan tak

ek rasm-e-wafa thi wo zamane ne utha di
ek zahmat-e-be-kar thi uthti bhi kahan tak

tum muatamid-e-raaz the kis tarah se pahunchi
hairat hai meri baat zamane ki zaban tak

chhute jo qafas se to wahi qaid-e-chaman thi
aazad yahan tak the giraftar yahan tak

taswir-e-rukh-e-yar khinchi jati hai 'yawar'
milti hai fareb-e-gham-e-dauran se kahan tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close