samajhne wala mera martaba samajhta hai

samajhne wala mera martaba samajhta hai
so farq padta nahin kaun kya samajhta hai

ye teri chaaragari meri jaan le legi
na tu mujhe na mera masala samajhta hai

main apni maut ko ab zindagi samajhta hun
main kyun samajhta hun mera khuda samajhta hai

main ab kahani se bahar nikalna chahta hun
kahani-kar mera muddaa samajhta hai

wo is liye bhi palat kar kabhi na aaega
wo mera haal mera faisla samajhta hai

main kah raha hun mujhe thoda soch kar samjho
ki ye lage mujhe koi khala samajhta hai

zamana kuchh bhi samajhta nahin hai sach hai ye
isi liye to tujhe bhi mera samajhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close